my poetries from memories

Tuesday, April 17, 2018

माँ..!!


माँ
क्या लिखुँ मैं माँ लिखुँ मैं , जो लिखूँ मैं माँ लिखुँ मैं
तेरी उँगली को पकड़ के जो चला हूँ,
ना थकां हूँ ना थमां हूँ
ना झुकां हूँ ना गिरां हूँ|

हाँ

माँ कहूँ मैं जब कहूँ मैं , माँ सुनूँ मैं जब क़ुछ सुनूँ मैं।
तू ख़ुदा हैं , तू दुआँ हैं,
तू सुक़ून है, तू दवा है |

हाँ

माँ पढ़ू मैं जब रब पढू मैं। माँ चुनूँ मैं जब क़ुछ चुनूँ मैं।
तेरी अज़मतो से सारी दुनिया रूबरू हैं
तेरी रग़बतो में बसा ख़ुदा का नूर हैं।

हाँ

माँ हूँ मैं नन्हाँ संग तेरे मैं, हूँ मैं तनहा बिन तेरे मै।
क़ुछ भी करु मैं तेरी ख़ातिर एक क़तरा भी नही है
सौं किताबें भी भरु मैं फ़िर भी सब अधूरा लगे है।

हाँ

दिल बता दो माँ सा दूसरा, गर मिला हो तुमको को कभी।
शर्त लेलो लौट आओ हाथ खाली आज भी।

हाँ

क्या लिखुँ मैं माँ लिखुँ मैं , जो लिखूँ मैं माँ लिखुँ मैं
माँ कहूँ मैं जब कहूँ मैं , माँ सुनूँ मैं जब क़ुछ सुनूँ मैं।

Thursday, August 30, 2012

Jurm Kya Hai Hume Pata Hi Nahi...!



Tootne ki koi sada hi nahi, dil ka sheesha magar bacha hi nahi,

Ho gayein hain udasiyan itni, koi hasne ki sochta hi nahi,

Yun to har shakhs ji raha hai magar, zindigi ka kahin pata hi nahi,

Jang to kab ki jeet lete hum, kya karen hum me ekta hi nahi,

Log ab kar rahe hain manmani, jaise maujud ab khuda hi nahi,

Shehar ka shehar jal gya lekin, aap kehte hain kuch hua hi nahi.

Sare ilzam lag gaye sar per, jurm kya hai hume pata hi nahi.

Tuesday, May 15, 2012

Kaun Kehta Tu Khuda...!!

Kaun Kehta Tu Khuda Maujood Na Dharti Tale
Dekh Usko Wo Khada Hai Muskurate Labh Liye,

Aankh Jaise Koi Dariya Boond Boond Moti Lage
Nafratein Sahil Se Ab Toh Aasma Bhi Kam Lage,

Julf ki Parchayion Me Dhoop Ka Ek Kann Nahi
Rook Raha Ab Har Musafir Jo Jala Harpal Kahi,

Honth Toh Makhmal Naya Sa Phool Bhi Tujhse Jale
Muskuraaye Jo Agar Tu Raat Bhi Raushan Jale,

Kaan ki Inn Baaliyon Ki Tariffe Main kya karoon
Chashm ki Thandak Bani Hai Tu Bata Main Kya Karoon,

Paon ko Apne Kabhi Tu iss Jameen par naa hi Rakhna
Dhadkane Kahin Rook Na jaayen Iss Jameen Ka Khayal Rakhna,

Pair Ki Paayal Chanakati Tera Aana Bayan Karen
Roobaroo Tu Hai Nahi Fir Kyun Dil Bhala Aisa Karen,

Roj Kya Mumkin Nahi Hai Aye Khuda Milna Tera
Jee Raha Hoon Main Youn Tanha Aake Mujhse Mil Jara...!




Sunday, May 13, 2012

Bas Chup Rehta Hoon..!

Aisa nahi main teri fikra nahi karta hoon
Bas chup rehta hu zikra nahi karta hoon..!

Us chaukhat se pooch jaha main rehta hoon
Terehi khayal me wahase hazar dafa gujharta hoon..!

Taklif tuze hoti hain main dard mehsus karta hoon
Mehfuz rakhe khuda tuze main harpal darkhawst karta hoon..!

Kabil main hoon nahi par koshish jarur karta hoon
Barkaraar teri muskurahat rahe chahat main karta hoon..!

Tu mera rab hain main teri Ibadat karta hoon
Bas chup rehta hu zikra nahi karta hoon..!